illegal tricks -blackhat hacking

illegaltricks- A ethical hacking and cyber security blog, latest tips and tricks, tech hacks aur hacking ki basic and advance ,hacking illegal and blackhat tricks ,hacking softwares and bots ki jankari illegaltricks

Breaking

Monday 30 April 2018

Bot & Botnet kya hai? types of botnet? ethical hacking & cyber security

Hello friend ! Aaj ham bat karne bale he  botnet ke bare me aur jane , ki botnet kya hai, aur bot net kaise kam karta hai. aur aj ke post me ham botnet kitne tarah ke hote hai, iske bare me janenge.


Botnet kya hai?


botnet ‘BOT’ aur ‘NET’ 2 word se milkar bana hai. jisme bot ka matlab “robot”  aur net ka mtlb “network” hota hai. mtlb internet ke andar ek aisa robot jo automatic script par kam karta hai. jaise ap kisi bade website me jate hai aur waha contact form ya koi bhi enqury karte hai, to ap jisse chat kar rahe hote hai. o koi insan nahi balki botnet hota hai jise script ke jariye tyar kiya jata hai. aur waisi jab ap kisi ko call karte hai, to samne wale ka number ‘out of range’ ya ‘mobile swicth off’ ata hai, aur apko awaz sunai deti hai ki “ap jisse bat karna chahte hai bo abhi out of range hai” ya “uska mobile swith off hai”. bo koi insan nahi hota hai bo bhi botnet hota hai jise voice command ki script ke jariye tyar kiya jata hai. 
to aise botnet hote hai. Aur hacking me DDOS (Distributed Denial of Service attack) me bhi botnet ka use hota hai. To  is type ke hacking me use hone wale botnet ko zombie computer bhi kahte hai.

Types of BotNet:-

friends wese to botnet ke bahut types he lekin ham important and simple botnet ke bare me hi janege . so lets talk about it 
Internet bot:- dosto kai aise bade bade website hote hai, jinke pass bahut sare message ate hai, aur bo apne message ko read  nahi kar pate hai to uske liye bo bot bana dete hai. mtlb ye bot unka personal assistent hote hai, jo ki har question ka specific answer deta hai.
example:- dosto agar ap hike application chalate hai to apne usme ek natasha assistent ke sath kabhi chat kiya hoga. ye internet bot hai. jise coding karke fix kiya gaya hai.
Chatter Bot ya Chat Bot:- ya chat karne ke liye  basically design kiya  jata hai. isme aisa command dal ke banaya jata hai, ki jo isse chat kar raha hai use aisa lagta hai, ki ya sach me koi insan hai. aur to aur chat bot ko voice cammand me bhi fix kiya jata hai.

Social Bot:- is bot ka use social site ko handal karne me jyada kiya jata hai. jaise facebook page, twitter eshe popular  social networking site me use hota hai.
 twiter bot:- twitter bot kuch specific site me twite karne ke liye banaya jata hai. 
 zombie computer:-  ya aisa computer hota hai, jo ki ek hacker ke true hacked hota hai. aur infected hota hai. jo hacker ke control me rahta hai. inhe zombie computer ya cyber army kahte hai. ye hacker ke cammand par kam karta hai. aur DDOS(Distributed Denial of Service) jaise attack perfome karta hai.
 video game bot:- agar ap bhi game ke sokin he aur multiplayer game khelte hai. To video game bot ke bare me samajna apke liye bahut ashan  hoga. jaise ap ludo game khel rahe ho lekin usme to 4 player ki jarurat padti hai, lekin ap akele ho to jo apke sath video game me game khelta hai use video game bot kahte hai.
 spam bot:-  ise hacking me use kiya jata hai. jise mass mailer attack  E-bombbing bhi kahte hai. ya kisi ke pass itna mail bhejta hai, ki use jo email chahiye hota hai. o kabhi nahi mil pata hai. ya koi website me karta hai to website hi crash ho jati hai. ise spam comment bot bhi kahte hai.
 vote bot:- apne aise movie to dekhi hogi jisme koi votting hoti hai. aur hacker votting mashine ko hack kar leta hai. aur us site me votting karta hai. jise jitana hota hai. jise voting bot kahte hai.
so friend apko pata chal gaya hai ki bot & botnet kya hai. aur botnet kitne tarah ke hote hai. agar abhi bhi apko botnet se related koi bhi problem  hai to ap hame jarur comment kare. aur  apne dosto ke sath share kare.

1 comment: