illegal tricks -blackhat hacking

illegaltricks- A ethical hacking and cyber security blog, latest tips and tricks, tech hacks aur hacking ki basic and advance ,hacking illegal and blackhat tricks ,hacking softwares and bots ki jankari illegaltricks

Breaking

Sunday, 27 May 2018

HTTP vs HTTPS kya hai ?? SSL Kya Hai ye kyu use hote he.

Guys ham internet perday use karte he kahi sari websites pe login bhi karte he to apne ye jarur notice kiya hoga  ki bahut sari website me https connection hota he aur kuch website pe http connection hota he .
so guys esha kyu hota he http and https  ke bich me kya difference he kyu sab badi badi company https kya use karti he kya bakari me https connection secure he in sabke upper ham baat karege guys .

HTTP VS HTTPS

So guys http ki full form hoti he hyper tex transfer protocol and https ki full form hoti he hyper text transfer protocol secure  . so guys ab me apko bta du ki jo http he bo apne connection me encryption ka use nai karti aur bo jada secure nai hoti means agar ap eshi website pe login karte ho jo http connection ka use kare then use connection pe hacker apki detail chura sakta he jese ki ham jante he ki apan kisi bhi website pe jab kuch bhi information fill karte he to hamari sari information website ke server pe jati he so hacker bich me se hi us information ko chura lete he so guys ye sirf http connection me possible hota he lekin agar ham baat kare https connection ki to isme esha possible nai he kyuki ye SSL ka use kart use karti he me aage apko btaunga ki ssl kya hoti he . so SSL us website ko secure rakhta he aur ap jo bhi information website pe dalte ho wo encrypt ho jati he aur hacker use nai chura sakta .

SSL KYA HOTA HE 


Friends  SSL means Secure Sockets layer hota he .guys ye ek tarha ka protocol he jab bhi ham website me koi bhi information dalte he to ye us information of encrypt kar deta he means eshe form me likh deta he jisko ham samj nai sakte so ye kafi help karta he hamare data ko secure karne me .SSL ajkal kafi sites me use karta he aur google khud eshi sites ko recommend karta he jo ssl certificate use karti ho kyuki ye sites secure hoti he aur ye jaldi rank bhi ho jati he. so guys agar ap kahi bhi https dekho iska means bo sites ssl certificate ka use kati he. Aur us site pe ap apni detail fill kar sakte ho bina kisi tension ke . 

  SSL VERSIONS 

(1.) SSL 1
(2.)SSL 2 
(3.)SSL 3 or TLS 


TLS VERSION OR TRANSFER LAYER SECURITY KYA HAI 

TLS (Transfer layer security ) ye bhi ssl ka hi type hai .ye ssl ka third version he guys kafi log confusion me rhete he ki TLS kya hai so me bta du agar ham ssl ke third version ko dekhte he so use hi tls bolte he 

SSL is  100% safe or not 

guys agar encryption me dekha jaye to SSL 100% secure he lekin guys aj kal esha bhi hota he ki hacker khud ki website bana lete h aur uspe ssl ceritificate use karte he aur apki information chura lete he .guys SSL certificate ko ap buy bhi kar sakte ho aur ye Apko free bhi mil jaya  https://www.sslforfree.com/ is site se ap free ssl certificate le sakte ho to ye jaruri nai ki SSL certificate apke data ko chori hone se bacha sakte ho sakta he ap jis website pe login kar rahe ho bo website illegal ho aur apki information ko leak karde so guys aj kal agar security name ki chiz he to cracking name ki bhi chiz har site me koi na koi vulnerability  hoti he bass apko uska find karna padega .


2 comments:

  1. good post aise he likhte rahiye.
    http://www.onlineknowledgeinhindi.com

    ReplyDelete
  2. Usually, I never comment on blogs but your article is so convincing that I never stop myself to say something about it. You’re doing a great job Man. Best article I have ever read

    Keep it up!

    ReplyDelete